kamal rakhte hain apni wahi jawani mein

kamal rakhte hain apni wahi jawani mein
laga ke aag jo baithe hue hain pani mein

gae dinon ke dikhai diye sabhi manzar
rafaqaton se judi har kisi nishani mein

tamam khwab meri zindagi ke bah nikle
teri judai mein ashkon ki is rawani mein

jise bhi dekhiye ranj-o-alam mein duba hai
ajib dard hai har shakhs ki kahani mein

akeli main hi nahin hun wafa ke zindan mein
bahut se aur hain is qaid-e-raegani mein

mujhe to dasht-e-tamanna ki dhup kaam aai
ai 'hadia' meri mitti ki saebani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close