jehl ko ilm ka mear samajh lete hain log sae ko bhi diwar samajh lete hain chhed kar jab bhi kisi zulf ko tu aati hai ai saba hum teri raftar samajh lete hain tu faqat jam ka mafhum samajh ai saqi tishnagi kya hai ye mai-khwar samajh lete hain hum ki hain jumbish-e-abru ki zaban se waqif tere khinchne ko bhi talwar samajh lete hain ab kisi barhami-e-zulf ka charcha na karo log apne ko giraftar samajh lete hain jo bhi bazar mein dam-bhar ko thahar jata hai sada-dil us ko kharidar samajh lete hain dil ke asrar chhupate hain wo hum se 'shair' hum ki rang-e-lab-o-rukhsar samajh lete hain