jo gham-e-habib se dur the wo khud apni aag mein jal gae jo gham-e-habib ko pa gae wo ghamon se hans ke nikal gae jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae jo nazar nazar se gale mili to bujhe charagh bhi jal gae na khizan mein hai koi tirgi na bahaar mein koi raushni ye nazar nazar ke charagh hain kahin bujh gae kahin jal gae gham-e-aish-o-yas-o-umid ka na asar hayat pe ho saka meri ruh-e-ishq wahi rahi ye libas the jo badal gae na hai 'shair' ab gham-e-nau-ba-nau na wo dagh-e-dil na wo tazgi jinhen e'timad-e-bahaar tha wahi phul rang badal gae