kahta hun main ki ghair ne hargiz kaha nahin tujh ko na ho qubul jo meri dua nahin in paniyon kisi ko duboe na sharm-e-shauq main aab aab us ki taraf dekhta nahin sau rukh se chumta hai tera pairahan khayal sab mein hun meri jaan ye mauj-e-hawa nahin hairan khada hun wasl-e-judai ke darmiyan main kis shumar mein hun agar aaina nahin guzra mere darun se tu hi ba-rang-e-umr ab jaane wo darun bhi mera tha ya nahin chutki mahak uthi hai ye kaisi umid ki ab tak to dastaras mein wo band-e-qaba nahin kaam-o-dahan ko bakhsh chuka hai jo pahle nib ab shahd sher de bhi to koi maza nahin