jhankte log khule darwaze

jhankte log khule darwaze
chand ka shahr bane darwaze

kis ki aahat ka fusun tari hai
mahw hain aaj bade darwaze

bol ke den na kabhi diwaren
sar patakhte hi rahe darwaze

log mahfuz hue kamron mein
barf ki zad mein rahe darwaze

kabhi suraj ki kabhi zulmat ki
mar sahte hi rahe darwaze

raat-bhar chandni takrai magar
subh hote hi khule darwaze

dekh wo 'sham' ki aahat ubhri
dekh wo band hue darwaze


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close