wahm hai hast bhi nist bhi wahm hai din-o-duniya ki har ek gali wahm hai kaisi aawaz hai kan phat jaenge hai bhi ya ye mera daimi wahm hai ye tamasha-e-ilm-o-hunar dosto kuchh nahin hai faqat kaghzi wahm hai khinch li hai kaman main ne izhaar ki ab zara phir kaho zindagi wahm hai itna hassas hun jitna koi nahin man lo na 'raza' aakhiri wahm hai