na koi marhala dushwar hoga junun jab qafila salar hoga shafaq ye rang laegi sahar tak ki khun-alud har akhbar hoga rahega jo bhi muflis ahd-e-nau mein yaqinan sahab-e-kirdar hoga ye ghar ko dekh kar main sochta hun kisi din mujh pe ye ghar bar hoga tashaddud karne wale ye bhi sochen ki ek din sab se istifsar hoga masaib se hi jab fursat na hogi to kab zikr-e-lab-o-rukhsar hoga na jage log to ye soch le phir 'sharar' jalna tera be-kar hoga