jhatak ke chal nahin sakta hun tere dhyan ko main uthae phirta hun sar par ek aasman ko main main tujh se apna talluq chhupa nahin sakta jabin se kaise mita dun tere nishan ko main ye log mujh se udasi ki wajh puchhte hain bata chuka hun tera nam ek jahan ko main jo ahd kar ke har ek ahd tod dalta hai zaban dunga bhala aise be-zaban ko main main fath kar ke koi qila kya karunga 'salim' lo aaj todta hun tir ko kaman ko main