wo aankh ajab rau mein baha le gai hum ko ek mauj thi sahil se utha le gai hum ko kab shauq se jata hai koi rah-e-junun par wo to teri nazron ki khata le gai hum ko is shahr mein hum jurm-e-mohabbat ke liye aae aur dasht mein taqsir-e-wafa le gai hum ko hum kaun qalandar the ki ja milte khuda se par ek but-e-kafir ki dua le gai hum ko ek zist hamein jis ne kahin ka nahin rakkha ek maut ki sine se laga le gai hum ko le jata tha har yar hamein apna samajh kar phir yun hua ek roz qaza le gai hum ko khushbu tere aanchal ki thi ya tere badan ki sang apne bahar-haal uda le gai hum ko hum dil the aur ek dil ke liye aae the 'sagar' par mauj-e-gham-e-dahr baha le gai hum ko