nakhl-e-ummid mein samar aaya husn un ka murad par aaya qasd-e-kaba tha dair mein pahuncha kis taraf dhyan tha kidhar aaya roya main yaad-e-yar mein jab jab sail ashkon ka ta kamar aaya wasta go diya payambar ka na mera phir ke nama-bar aaya kar diya kushta charkh ne lekin na baghal mein wo sim-bar aaya khub dekha magar siwa tere na koi dusra nazar aaya jaan di hum ne dard-e-furqat se na khabar ko wo be-khabar aaya subh ki hum ne tare gin gin kar par wo mah-ru na raat bhar aaya kat gai baaton hi mein wasl ki raat muddaa dil ka kuchh na bar aaya jab diya us ne bhar ke ghair ko jam khun aankhon mein meri bhar aaya ho gai sharm mane'-e-waslat rahm bhi un ko mujh pe gar aaya nazar-e-charkh se gira khurshid mahwash apna jo baam par aaya apne dil mein ye soch lo 'wahbi' jaan jaegi dil agar aaya