jo shab-e-siyah se Dar gae kisi sham hi mein bhaTak gae

jo shab-e-siyah se dar gae kisi sham hi mein bhatak gae
wahi tajdar-e-sahar bane jo siyahiyon mein chamak gae

na banaya munh kisi jam par na lagaya dil kisi jam se
jo labon tak aae wo pi liye jo chhalak gae wo chhalak gae

hai hayat-e-jehd nafas nafas rah-e-ashiyan hai qafas qafas
jo na nok-e-khar pe chal sake rah-e-zindagi se bhatak gae

tujhe kuchh khabar bhi hai mohtasib isi bazm mein tere samne
laden dur hi se nigahen kabhi yun bhi jam khanak gae

mere rahnuma-e-sukhan-sara kabhi mimbaron se utar zara
koi gam rah-e-amal mein bhi teri guftugu se to thak gae

hain na jaane kitne gul-e-hasin jo chhupae aariz-e-atishin
liye apna saghar-e-ambarin kisi dasht hi mein mahak gae

kahun kya main zist ki dastan use yun samajh mere mehrban
kabhi harf-e-bazm jo sun liya to nazar ke jam chhalak gae

rah-e-ilm shak ki hain sidhiyan yahi zehn zinda ka hai nishan
jise ikhtilaf mein ho guman wo hamin na hon jo bahak gae

na nazar mili na zaban khuli chhupi phir bhi dil ki na bekali
kabhi dur ja ke palat pade kabhi pas ja ke thithuk gae

chali baad-e-jabr agar to kya mujhe yun jahan na bujha saka
mujhe ras aai yahi hua mera shoale aur bhadak gae

mere zehn-o-dil ki basiraten gham-e-zindagi ki haqiqaten
mere lab pe git nahin hain wo ki jo payalon mein chhanak gae

sunen baam-o-hosh pe ja ke kyun teri 'mulla' aayat-e-be-maza
abhi koi ishq mein raat ko wo ghazal suni ki phadak gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close