jhijak kaisi hai tum bedad par bedad kar lena sitam-ijad ho taza sitam ijad kar lena tumhein mashq-e-jafa manzur agar hai dil bhi hazir hai abhi barbaad kar do phir ise aabaad kar lena rihai ho ki pabandi asir un ke unhin ke hain abhi paband kar dena abhi aazad kar lena ba-juz is ke karun to kya karun ai bebasi meri kabhi khamosh rah jaana kabhi fariyaad kar lena ye zahir hai ki hum majbur hain kuchh kar nahin sakte sitam tujh se jahan tak ho sake sayyaad kar lena agar shohrat tumhein manzur hai ahl-e-mohabbat mein sabaq mehr-o-wafa ka dil laga kar yaad kar lena khuda na-karda tum kyon pas aao na-muradon ke jo mumkin ho to un bhule huon ko yaad kar lena jafaon par bhi shadan hun wafaon par bhi qurban hun mujhe tum aazma kar apne dil ko shad kar lena karo 'kaukab' watan ki qadr kya baithe ho tum ghafil kabhi to khidmat-e-ahl-e-muradabaad kar lena