rakhna qadam yahan to zara dekh bhaal ke

rakhna qadam yahan to zara dekh bhaal ke
baad-e-uruj aate hain din bhi zawal ke

kije na aap hum se kabhi tanziya sawal
warna jawab honge kai ek sawal ke

main bhi to aadmi hun koi jaanwar nahin
kyon dekhte ho mujh ko tum aankhen nikal ke

kuchh to khata zarur hui aaj aap se
kyunke jabin pe qatre hain kuchh infial ke

ruk jao warna dekh lo pachhtaoge sada
yun jaoge jo aaj meri baat tal ke

khushiyon ke pichhe bhagne walo suno suno
khushiyan na mil sakengi siwae malal ke

charche kisi kamal ke hote hain khud-bakhud
qisse bayan na kijiye apne kamal ke

'khaki' ko be-sabab na karo mushtail kabhi
anjam bhi bure hain bure ishtial ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close