kisi tarah se na bahla firaq-e-yar mein dil khizan ki tarah fasurda raha bahaar mein dil nahin hai chain muqaddar mein be-qararon ke hamare sath tadapta raha mazar mein dil tafakkuraat-e-jahan se hai yak-qalam aazad phansa hua tere gesu-e-tabdar mein dil agar tu aa nahin sakta to kash ajal aae hai be-qarar bahut tere intizar mein dil kamal-e-husn-e-tasawwur ye hai ki rahta hai shagufta gul ki tarah yaad-e-ru-e-yar mein dil kahan hai ishq jo aa kar ise chhuda jae ghira hua hai bala-ha-e-rozgar mein dil bas apni apni jagah la-jawab hain donon ghurur mein nigah-e-yar inkisar mein dil natija hasrat-o-hirman hai shauq-e-behad ka kharab hoga bahut aarzu-e-yar mein dil bigad rahe hain abas aap apne 'kaukab' par wo kya kare jo na ho us ke ikhtiyar mein dil