kyun falak-ashna kiya tha mujhe jab zamin par hi phenkna tha mujhe ban gaya main kitab qisson ki us ne ek lafz mein kaha tha mujhe ab nagina hai kal yahi patthar raste mein pada mila tha mujhe us ka aaseb mujh pe barsega hadsa ye bhi jhelna tha mujhe main naqib-e-saba tha phulon ne pattharon ki tarah suna tha mujhe main sada sahilon ki kya sunta rukh hawaon ka modna tha mujhe main bahut kaam ka tha us ke liye aur zae wo kar raha tha mujhe ab wo khud ko talash karta hai jo kabhi mujh mein dhundhta tha mujhe bachcha majburiyon ko kya jaane ek khilauna kharidna tha mujhe