jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka tare kashf nahin kar sakte be-awaz jaziron ka har nakaami ne aise bhi kuchh diwaren khinchi hain ek be-naqsha shahr bana hai la-hasil tadbiron ka ek muddat se qarya-e-jaan mein jhadte hain jhankar ke phul jaise mere jism ke andar mausam ho zanjiron ka dur se jhund parindon ka lagte hain kheme walon ko kis andaz ka aana hai ye aag chhidakte tiron ka raat gae jab tare bhi kuchh be-mani se lagte hain ek dabistan khulta hai un aankhon ki tafsiron ka ek hatheli par us ne mahkae hina ki sundar phul ek hatheli ki qismat mein likkha dasht lakiron ka