khunin gulab sabz sanobar hai samne aankhon mein qaid karne ka manzar hai samne fauj-e-siyah chaaron taraf mahw-e-gasht hai khanjar barahna raat ka lashkar hai samne wo sans le raha hai magar zindagi kahan shishe mein band lakh ka paikar hai samne itra ke chal shuur ki thokar bhi kha ke dekh be-lams aagahi ka wo patthar hai samne fitrat pe ye bhi tanz hai shayad 'shakeb-ayaz' pyasi hai ret aur samundar hai samne