thi nind meri magar us mein khwab us ka tha badan mera tha badan mein azab us ka tha safine chand khushi ke zarur apne the magar wo sail-e-gham-e-be-hisab us ka tha diye bujhe to hawa ko kiya gaya badnam qusur hum ne kiya ehtisab us ka tha ye kis hisab se ki tu ne raushni taqsim sitare mujh ko mile mahtab us ka tha falak pe kirchiyan aankhon mein motiya aansu jo reza reza hua aaftab us ka tha meri zara si chamak ko kadak ne tok diya sawal tujh se kiya tha jawab us ka tha khuli kitab thi phulon-bhari zamin meri kitab meri thi rang-e-kitab us ka tha