jhum kar badli uthi aur chha gai sari duniya par jawani aa gai aah wo us ki nigah-e-mai-farosh jab bhi utthi mastiyan barsa gai gesu-e-mushkin mein wo ru-e-hasin abr mein bijli si ek lahra gai aalam-e-masti ki tauba al-aman parsai nashsha ban kar chha gai aah us ki be-niyazi ki nazar aarzu kya phul si kumhla gai saz-e-dil ko gudgudaya ishq ne maut ko le kar jawani aa gai parsai ki jawan-margi na puchh tauba karni thi ki badli chha gai 'akhtar' us jaan-e-tamanna ki ada jab kabhi yaad aa gai tadpa gai