nikli jo aaj tak na kisi ki zaban se takra rahi hai baat wahi mere kan se sota raha main khauf ki chadar lapet kar aaseb chikhte rahe khali makan se akasr main ek zahr bujhe tir ki tarah nikla hun hadsat ki tirchhi kaman se phaila hua hai hadd-e-nazar tak sukut-e-marg aawaz de raha hai koi aasaman se tanhaiyon ko saunp ke tarikiyon ka zahr raaton ko bhag aae hum apne makan se mumkin hai khub khul ke ho guft-o-shunid aaj wo bhi khafa hai hum bhi hain kuchh bad-guman se ai 'kaif' jin ko bughz nai shaeri se hai wo bhi tere kalam ko padhte hain dhyan se