jhut par us ke bharosa kar liya dhup itni thi ki saya kar liya ab hamari mushkilen kuchh kam huin dushmanon ne ek chehra kar liya hath kya aaya saja kar mahfilen aur bhi khud ko akela kar liya haarne ka hausla to tha nahin jit mein dushman ki hissa kar liya manzilon par hum milen ye tai hua wapsi mein sath pakka kar liya sari duniya se lade jis ke liye ek din us se bhi jhagda kar liya qurb ka us ke utha kar faeda hijr ka saman ikattha kar liya guftugu se hal to kuchh nikla nahin ranjishon ko aur taza kar liya mol tha har chiz ka bazar mein hum ne tanhai ka sauda kar liya