siyah dil mein safedi ke bij boega bichhad ke jab wo milega to khub roega hai us ke pas ujalon ka marhami lashkar wo sari raat andheron ke zakhm dhoega badi ka sabz samundar pukarta hai use wo nekiyon ki sabhi kashtiyan duboega wo dega ruh ko nam-o-nasab ki mahrumi badan ki dor se rishte bahut piroega main us ki rahm ki barish mein qaht-zar hua wo ab ke dhup se mitti meri bhigoega