jis ko qarib paya usi se lipat gae suraj dhala to log qabilon mein bat gae wo gul-parast jin pe bahaaron ko naz tha aai khizan to pa-e-khizan se lipat gae kis kis ki main hujum mein aankhen nikalta achchha hua ki aap dariche se hat gae jo qahqahe ki jaan se ziyaada aziz the zinda-dili ke nam pe kal wo bhi bat gae thithure hue badan ko hararat na mil saki chhat par chadhe to dhup ke sae simat gae jin hauslon pe koh-e-giran ka guman tha aandhi chali to saikdon hisson mein bat gae