jhut sach aap to ilzam diye jate hain baat sunte nahin dushnam diye jate hain tirchhi nazron se kiye us ne bahut dil zakhmi tir tedhe magar kaam diye jate hain kah gaya ye bhi koi ruth ke jaane wala hum tujhe maut ka paigham diye jate hain pasban jag uthen wo to unhen de dena likh ke kaghaz pe ye ek nam diye jate hain aap ke lutf-o-inayat ka yahi hai badla gham liye jate hain aaram diye jate hain dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat aisi chizon ke kahin dam diye jate hain tir-e-qatil ko kaleje se laga rakkha hai hum to dushman ko bhi aaram diye jate hain kaam aa jaega dushman ki mohabbat mein kabhi ehtiyatan dil-e-nakaam diye jate hain ab to khul khele wo 'bekhud' se khuda khair kare ab to khud bhar ke use jam diye jate hain