ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai aap ne itna rulaya hai ki ji jaanta hai yaad ban kar teri masum wafa ne zalim dil pe wo naqsh bithaya hai ki ji jaanta hai shauq-e-gustakh ne aksar tumhein barham kar ke hae wo lutf uthaya hai ki ji jaanta hai jab kabhi yaad dilaya hai takhayyul ne tumhein is tarah yaad dilaya hai ki ji jaanta hai itna afsana-e-furqat ko kiya ishq ne zabt sirf ye dars padhaya hai ki ji jaanta hai dars-e-ibrat hai mere dil ki tabahi 'talib' khak mein aisa milaya hai ki ji jaanta hai