ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai

ji-daro! dozakh ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai
tez dahakti aag zamin par khandaq khandaq chalti hai

aasebi si shamen le kar sayyaron mein ghum gai
koi hawa aisi hai ki duniya nind mein uth kar chalti hai

kohsaron ki barf pighal kar dariyaon mein ja nikli
kuchh to pas-e-ab-e-rawan kar nabz-e-junun kya chalti hai

raat ki raat thaharne wale waqt-e-khush ki baat samajh
subh to ek darwaza-e-gham par duniya aankhen malti hai

khush-bu shahr-e-badi ka jadu ek hadis-e-tilism hui
hauz mein khilta gul-e-bakauli khush-bu is mein palti hai

qindil-e-rahib ka jadu aasebi taron ke mod
kat ke waqt ki ek parchhain khwab-numa si chalti hai

shams o qamar ki khakistar mein ruh thi ek aaraish ki
duniya bich mein ja ke khadi hai aur libas badalti hai

khakistar dil ki thi aakhir milti rakh mein taron ki
aatish-e-mahr sa jast sa karti bujhte bujhte jalti hai

mutrib-e-khush-awaz hui hai zakhm-awar aahang-e-bala
wo jo mere hisse ki lai thi tere gale mein dhalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close