ji hai bahut udas tabiat hazin bahut saqi ko pyala-e-mai-e-atishin bahut do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut aisi bhi is hawa mein hai ek kafiri ki rau bujh bujh gae hain shola-e-iman-o-din bahut be-bakiyon mein fard bahut thi wo chashm-e-naz dil ki harif ho ke uthi sharm-gin bahut paikar-e-khair-o-shar se guzar aai zindagi teri wafa ka daur tha ahd-afrin bahut fariyaad thi chakida-e-khun-e-gulu tamam naghma bhi ham-safir tha kar-e-hazin bahut ai dil tujhi pe khatm nahin dastan-e-ishq afsana-khwan mile mizha o aastin bahut aisi hawa mein ghar se nikalne ki ja na thi warna tamam baat ka aata yaqin bahut ai inqalab-e-rang tabiat sambhaalna hum bhi uthe hain bazm se ab ke hazin bahut