tere aate hi sab duniya jawan malum hoti hai khizan rashk-e-bahaar-e-jawedan malum hoti hai junun-e-sajda-rezi ka ye aalam hai maaz-allah har ek chaukhat tera hi aastan malum hoti hai use har ahl-e-dil pahron maze le le ke sunta hai meri bipta hadis-e-dil-baran malum hoti hai kate hain din balaon ke sahaare jin asiron ke unhen bijli bhi shakh-e-ashiyan malum hoti hai maal-e-zindagani ki haqiqat khul gai jab se kasak dil ki mata-e-do-jahan malum hoti hai khayal-e-aish ki parchhain se bhi dil larazta hai nigah-e-husn ab kyun mehrban malum hoti hai khuda shayad hai mere bhulne wale ba-juz tere mujhe takhliq-e-alam raegan malum hoti hai kisi ki justuju mein 'wajd' us manzil pe pahuncha hun jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai