jis zamin par tera naqsh-e-kaf-e-pa hota hai ek ek zarra wahan qibla-numa hota hai kash wo dil pe rakhe hath aur itna puchhe kyun tadap uthta hai kya baat hai kya hota hai bazm-e-dushman hai khuda ke liye aaram se baith bar bar ai dil-e-nadan tujhe kya hota hai meri surat meri haalat meri rangat dekhi aap ne dekh liya ishq mein kya hota hai ai saba khar-e-mughilan ko suna de muzhda aazim-e-dasht koi aabla-pa hota hai hum jo kahte hain hamesha hi ghalat kahte hain aap ka hukm durust aur baja hota hai