ji larazta hai umadti hui tanhai se ab nikalo mujhe us raat ki pahnai se aai yaadon ki hawa ghulne laga kan mein zahr bujh gai sham bhi bajti hui shahnai se puchhta phirta hun galiyon ke ujadne ka sabab har taraf jama hain kya log tamashai se samne phaila hua dasht ka sannata hai ab kahan bach ke chalen hum dil-e-saudai se ban gaya ek qayamat dar-e-dil tak aana aur guzarna hai abhi dhyan ki angnai se kis tarah apna banaen use hum ai 'jafar' baat aage na badhi jis ki shanasai se