khauf tamir ki buniyaad mein rakkha hua hai hadisa surat-e-ijad mein rakkha hua hai ek imkan chhupa tha kisi lahje mein wahan ek tahayyur yahan rudad mein rakkha hua hai kaise mizhgan-e-haya tod ke bahar nikle girya ek zabt ki miad mein rakkha hua hai sans lete hi bhadakta hai mere sine mein ek diya sa jo teri yaad mein rakkha hua hai khas-o-khashak hue kham to khuli khushbu-e-zulf lutf yani kisi uftad mein rakkha hua hai in sitaron se bhala kaun sune chang-o-rabab zakhma-e-bakht zamin-zad mein rakkha hua hai