ji uthe hashr mein phir ji se guzarne wale yan bhi paida hue phir aap pe marne wale chus kar kis ne chhudai hai missi honthon ki samne munh to karen baat na karne wale shab-e-matam ki udasi hai suhani kitni chhanw mein taron ki nikle hain sanwarne wale hum to samjhe the ki dushman pe uthaya khanjar tum ne jaana ki hamin tum pe hain marne wale pi ke aae hain kahin hath na bahke waiz dadhi katren na kahin jeb katarne wale sin hi kya hai abhi bachpan hi jawani mein sharik so rahen pas mere khwab mein darne wale hath gustakh hain uth jaen na ye daman par bach ke niklen mere marqad se guzarne wale naza mein hashr ke wade ne ye taskin bakhshi chain se so rahe munh dhanp ke marne wale apne daman ko sambhaale hue bhole-pan se wo chale aate hain dil le ke mukarne wale sabr ki mere mujhe dad zara de dena o mere hashr ke din faisla karne wale aati hai hur-e-jinan khalwat-e-waiz ke liye qabr mein utrenge mimbar se utarne wale tere aashiq jo gae hashr mein ye shor utha jaen dozakh mein dam sard ke bharne wale zer-e-pa dil hi bichhe hon ki hain khugar us ke farsh-e-gul par bhi nahin paon wo dharne wale ashk-e-gham aise nahin hain jo umand kar rah jaen hain ye tufan mere sar se guzarne wale kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaz' mujh se lapte hain mere nam se darne wale