pani mein aks aur kisi aasman ka hai ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai diwar par khile hain nae mausamon ke phul saya zamin par kisi pichhle makan ka hai chaaron taraf hain sabz salakhen bahaar ki jin mein ghira hua koi mausam khizan ka hai sab kuchh badal gaya hai tah-e-asman magar baadal wahi hain rang wahi aasman ka hai dil mein khayal-e-shahr-e-tamanna tha jis jagah wan ab malal ek safar-e-raegan ka hai