jidhar bhi dekhiye har su hamein aghyar milte hain jahan par hum qadam rakkhen wahin par khar milte hain sunaun majra-e-gham kise is gham ke aalam mein ki is nagri ke basi jaan se bezar milte hain hazaron sath dete hain khushi ke waqt mein paiham ki jab qismat bigadti hai kahan phir yar milte hain khizan ne kar diya pamal ya-rab gulshan-e-hasti ki har jaanib hamein ujde hue gulzar milte hain na ghabra ai dil-e-muztar ye dastur-e-zamana hai mohabbat karne walon ko faqat aazar milte hain nasim-e-subh gulshan mein nae ghunche khilati hai sabhi ahl-e-mohabbat ahl-e-dil sarshaar milte hain kabhi aisa bhi eajaz-e-mohabbat rang dikhata hai talab ki rah mein aksar hamein gham-khwar milte hain