manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye karwan-e-zindagi ke rahnuma ban jaiye hum ne mana har taraf tira-shabi ka raj hai aap suraj hain agar tu raushni phailaiye aaina patthar se takrana zaruri to nahin baat jab hai aaine se aaina takraiye aap ko tira-shabi se is qadar kyun khauf hai ho sake to ek jugnu hi muqabil laiye ye to sach hai zindagi zinda-dili ka nam hai zindagi ke nam par itna bhi mat itraiye gar yun hi karta raha mujh ko zamana paemal aap ko sab kya kahenge ghaur to farmaiye ye bhi ek sasta sa andaz-e-siyasat hai 'ashok' kuchh na kije baith kar bas tabsire farmaiye