koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka dayar-e-gham mein raha dil ko pas duniya ka fareb-e-subh-e-bahaaran bhi hai qubul hamein koi naqib to aaya payam-e-farda ka hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka teri wafa ne diya dars-e-agahi hum ko tere junun ne kiya kaam chashm-e-bina ka ulajh ke rah gai har tan se nawa-e-sarosh tilism tut gaya husn-e-naghma-paira ka shab-e-firaq mein tare gine to nind aai ye haal ho gaya aakhir tumhaare shaida ka 'wahid' garmi-e-andesha ne ghazab dhaya sulag raha hai abhi hath khama-farsa ka