jigar ka jun shama kash ya-rab ho dagh raushan murad hasil ki dil ko lau lag rahi yahi hai charagh raushan murad hasil mudam kaifiyyat apne dil mein mai-e-mohabbat ke nashshe ki hai ki saqi is aaftab se hai dimagh raushan murad hasil asir-e-kunj-e-qafas to ho tum ye andalibo sada ye bolo shitab ya-rab charagh-e-gul se ho bagh raushan murad hasil lage na kyun aag tere sar se ki ishq mein main ne panw rakkha baja hai ai shama tujh ko kahna dimagh raushan murad hasil jo yar aata hai mere ghar mein to jald khana-kharab ud ja jahan mein tera shugun ye sab par hai zagh raushan murad hasil phire hai ai charkh tu to bandhe shikam pe khurshid ka ye gurda kahe na kyunkar ki gurisna ho charagh raushan murad hasil jahan mein kya dhundhta phire hai suragh yaran-e-raftagan ka 'nasir' hai chashm-e-naqsh-e-pa se suragh raushan murad hasil