nama-bar aate rahe jate rahe hijr mein yun dil ko bahlate rahe ye bhi kya kam hai ki mere haal par der tak wo ghaur farmate rahe shiddat-e-ehsas-e-tanhai na puchh hum bhari mahfil mein ghabraate rahe hijr ki tarikiyan badhti gain mahr o mah aate rahe jate rahe koi kya jaanega ye raaz-o-niyaz dil hamein hum dil ko samjhate rahe manzil-e-maqsud par pahunche wahi rah mein jo thokaren khate rahe nashsha-e-mai tez-tar hota gaya shaikh sahab waz farmate rahe kya ajab shai hai mata-e-dil 'sahar' jo use khote rahe pate rahe