jis ke talib hain wo matlub kahin baith raha muntazir hum ko bitha khub kahin baith raha bas ki likkhi thi main haalat dil-e-gum-gashta ki kho ke qasid mera maktub kahin baith raha dekhen kya aankh utha kar ki hamein to nahaq aankh dikhla ke wo mahbub kahin baith raha sham se jaise nihan mahr ho so wasl ki raat munh chhupa kar wo is uslub kahin baith raha hai meri khana-nashini se ye ghar ghar mazkur khail-e-ushshaq ka sarkub kahin baith raha jaana main us ka na aana ki samajh kar wo shokh baithne ko mere mayub kahin baith raha bud-o-bash apni kahen kya ki ab us bin yun hai jis tarah se koi majzub kahin baith raha awwal-e-ishq mein surat ye bani 'jurat' ki ho ke aakhir ko wo mahjub kahin baith raha