jigar ko chaak ki dil ko lahu lahu kije hayat ko kisi unwan surkh-ru kije nahin hai hausla mar mar ke zinda rahne ka to kaun kahta hai jine ki aarzu kije hai chaak chaak bahut zindagi ka pairahan khuda ke waste kuchh koshish-e-rafu kije lahu se pahle gulistan ko kijiye sairab phir us ke baad tamanna-e-rang-o-bu kije tumhaari bazm mein aai kahan se ye raunaq nazar mila ke zara hum se guftugu kije ba-faiz-e-ishq taqaddus-maab hain hum log hamara zikr bhi kije to ba-wazu kije qalam uthe to rahe azmat-e-qalam ka khayal ai 'mansha' yunhi sada hifz-e-abru kije