zamzama-e-ah-o-fughan dur tak gunjti hai wadi-e-jaan dur tak hae re virani-e-rah-e-hayat koi sada hai na nishan dur tak mil na saka amn-o-sukun ka pata dhund chuki umr-e-rawan dur tak sham-e-tarab jalwa-fagan aas-pas mashal-gham nur-fishan dur tak simte hue amn ke paighambar phaile hue qatil-e-jaan dur tak shahr mein dehat mein har rah mein khun ki ek ju-e-rawan dur tak puchh na 'fazil' meri duniya ka rang aag har ek samt dhuan dur tak