kahe ye kaun makan apna la-makan apna azal ke baad se milta hai kuchh nishan apna hai kuchh to baat ki dawa hai ek jahan ka yahi ki tu hai apna zamin apni aasman apna har ek gam pe har samt hai sujud-e-niyaz dayar-e-yar ko jata hai karwan apna nazar bhi daftar-e-amal par wo kar na sake tha apna haal zaban apni aur bayan apna dar-e-raqib pe sajde mein aah dam toden ho jin ka qaul sar apna hai aastan apna adam se pahle ki haalat adam ke baad ka haal mujhi se puchh ki main khud hun raaz-dan apna ye puchhta hai ki kyon dil mein hai ek aag lagi ye dekhta nahin jalta hai aashiyan apna nahin khayal-e-nasheman malal hai to ye hai ki hum ne aap ujada hai aashiyan apna har ek shoala larazta hai aur hum chup hain qafas ke samne jalta hai aashiyan apna giri thi kaund ke bijli kabhi nasheman par ye dekhta hun ki jalta hai aashiyan apna abhi jamal se parde hazar baqi hain harim-e-yar mein 'bekhud' guzar kahan apna