sajan tuk naz sun mujh pas aa aahista aahista chhupi baaten apas dil ki suna aahista aahista gharaz goyan ki baatan kun na la khatir manin hargiz sajan is baat kun khatir mein la aahista aahista har ek ki baat sunne par tawajjoh mat kar ai zalim raqiban us sin howenge juda aahista aahista mabaada mohtasib badmast sun kar tan mein aawe tambura aah ka ai dil baja aahista aahista 'wali' hargiz apas ke dil kun sine mein na rakh gham-gin ki bar lawega matlab kun khuda aahista aahista