khuda hai shahid ki is sanam sa kisi sanam ka badan na dekha suni nazakat suni halawat kamar ko misl-e-dahan na dekha riyaz-e-duniya ki kya haqiqat riyaz-e-jannat go hai tamanna kisi ne ai andalib-o-qumri wo sarw gul-pairahan na dekha hazaron mazmun hum ne bandhe chhupa jo mu-e-nazar kamar se liye tasawwur ne lakhon bose jo ru-e-ghuncha-dahan na dekha khayal-e-yaqub mein na aata guman pairahan-e-pisar ka hazar afsos us ne tera purana bhi pairahan na dekha banae madfan ajib ghar hai kab inhidam-e-makan ka dar hai rah-e-fana rah-e-be-khatar hai yahan gham-e-rah-zan na dekha ghazal ka har sher garm-tar hai kalam-e-'rashk' aatish-o-sharar hai ye sohbat-e-'mehr' ka asar hai ki sard is ka sukhan na dekha