kidhar jaiye aur kahan baithiye parichita nahin dil jahan baithiye main dekha tumhein khub parde mein ab zara aur ho kar nihan baithiye khade dekhte kya ho phir aaiye karam kijiye mehrban baithiye abhi se kahan uth chale koi dam ghanimat hai sohbat miyan baithiye tere hathon se ai jafa-e-falak bata tu hi chhup kar kahan baithiye bithaya mujhe tum ne zindan mein khub main baitha bas ab dostan baithiye tum aankhon mein kya baithte ho meri ba-pahlu-e-dil misl-e-jaan baithiye nahin baithne ki tumhaare wo ja idhar aaiye ab yahan baithiye na pahunchoge manzil ko tum 'mushafi' gaya dur ab karwan baithiye