jin ke hathon mein kabhi shisha tha patthar dekha waqt ka kaisa ye badla hua manzar dekha dekh kar mujh ko to munh pher liya karte the aaj kya baat hai tum ne mujhe hans kar dekha jal gaya nakhl-e-ana khak hui shakh-e-zamir chehra-e-gul ne ajab dhup ka manzar dekha mere aslaf ne ehsan kiye the jin par main ne un ko bhi harifon ke barabar dekha ham-safar jin ko samajhte the unhen hum ne 'alim' aastinon mein chhupae hue khanjar dekha