wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho mujhe yaad hai mere kam-sukhan tujhe yaad ho ki na yaad ho wo chahakta lahja wo guftugu wo khanak teri sar-e-ab-ju wo hasin sham ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho wo mohabbaton ki kahaniyan wo rifaqaten wo jawaniyan wo badan mein jagi hui agan tujhe yaad ho ki na yaad ho wo shararaten wo latafaten wo mohabbaten wo inayaten wo mahak-fashan tera pairahan tujhe yaad ho ki na yaad ho mujhe yaad hai mere dilruba wo zamana shohrat-e-ishq ka the raqib donon pe harf-zan tujhe yaad ho ki na yaad ho mere ham-nafas mere mehrban wo faza mein udta hua dhuan wo thithurti raaton ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho tere husn ka jo faqir tha teri zulf ka jo asir tha wo 'khatib' khasta-o-kam-sukhan tujhe yaad ho ki na yaad ho