suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai is daur ka insan kahan dekh raha hai haalat ne jis ke sabhi par kat diye hain wo aaj bhi manzil ka nishan dekh raha hai ayyar bahut hai yahan takhrib ka mojid wo barf ke jangal mein dhuan dekh raha hai ek roz pakad lega wo qatil ka gareban jo waqt ki raftar zaban dekh raha hai sadiyon ke talluq ka ye ehsas hai shayad sahra mein haqiqat ko ayan dekh raha hai is sar-phire mausam ka bharosa nahin 'saqib' mahaul ka sab bar-e-garan dekh raha hai