jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain is rah mein we jaise anjaan nikalte hain kya tir-e-sitam us ke sine mein bhi tute the jis zakhm ko chirun hun paikan nikalte hain mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson tab khak ke parde se insan nikalte hain kis ka hai qimash aisa gudad bhare hain sare dekho na jo logon ke diwan nikalte hain gah lohu tapakta hai gah lakht-e-dil aankhon se ya tukde jigar hi ke har aan nikalte hain kariye to gila kis se jaisi thi hamein khwahish ab waise hi ye apne arman nikalte hain jagah se bhi jate ho munh se bhi khashin ho kar we harf nahin hain jo shayan nikalte hain so kahe ko apni tu jogi ki si pheri hai barson mein kabhu idhar hum aan nikalte hain un aaina-ruyon ke kya 'mir' bhi aashiq hain jab ghar se nikalte hain hairan nikalte hain