kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain khinchiye tegh ki muddat se fida hum hi hain tafta-dil sokhta-jaan chaak-jigar khak-basar kya kahen masdar-e-sad-guna-bala hum hi hain nahin mauquf dua apni to kuchh baad-e-namaz baithte uthte jo mangen hain dua hum hi hain ye bhi koi tur se tuk jalwa dikha chhup jaana aur bhi log hain tarsane ko kya hum hi hain wo jo kahlate the zin-pesh tere yaron mein jaan-e-man ab to hamein bhul gaya hum hi hain na barahman ki mashikhat hai na ruhban ki qadr ab to is mai-kade mein nam-e-khuda hum hi hain ishwa-o-naz tera hum se yahi kahta hai nahin karte jo kabhi tir khata hum hi hain be-nawaon ki tarah aa ke tere kuche mein wo jo kar jate hain ek roz sada hum hi hain aadhi raat aae tere pas ye kis ka hai jigar chaunk mat itna ki ai hosh-ruba hum hi hain 'mushafi' tal gae sab marka-e-ishq ke bich wo jo thahre rahe hain ek zara hum hi hain